Friday, 12 October 2012

AISI AZAADI AUR KAHAN; UMEED HAI AASMAANI

Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to naapi hai mutthi bhar zameen humne
Abhi to sara aasman baaki hai

Apne saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona
Jab bhi rona to chiragon ko bujha kar rona
Jahan chot khana wahan muskurana
Magar is ada se ke roye sara zamana

Hoke maayus na yu shaam ki tarah dhalte rahiye
Jindgi ek bhor hai suraj ki tarah nikalte rahiye
Tharoge ek paav par to thak jaaoge
Dheere dheere hi sahi magar raah par chalte rahiye..

Mushkile dilo ke iraade azmayegi
Khwaabo ke parde nigaaho se hatayegi
Girkar tujhe hai smabhalna
Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi

Unchi Apni UDAAN HAI, PARWAZO MEIN YE JAHAN HAI
KEH DO TOFAANO SE LAGA NE APNA SAARA ZOR;
AAZ PANKHON MEIN KUCH AISI JAAAN HAI...










































kuch pankhon ki taqat, kuch mera hausla
raaston ki parwah kise, jab tay karna har fasla.

No comments:

Post a Comment