Saturday, 13 October 2012

Dew Drops: Inspiring Lessons of Life

-e-

DIL



Drop Hermeneutics

Ye chahe to Hasaye,Ye chahe to Rulaye, 
Ye to Waqt hai,


Bright Blue with Bokeh
Jo pal bhar me kisi ki bhi Duniya badal jaye,Jo pal bhar me kisi ki bhi Duniya badal jaye

Black Star

Ek pal to aisa jaise har Manzar, Har Lamha jaise sab kuchh apna ho,
Doosre hi pal me Duniya itni udaas,


Falling Light

aise ek pal ki Muskurahat bhi Janmo ka sapna ho.
Ye to Waqt hai, Jise kabhi koi na samajh paye,


All for One

Hasti-Khelti, Rang-Birangi Zindagi me Ghamo ka Rang ghool jaye,
Ye to Waqt hai, Jo pal bhar me kisi ki bhi Duniya badal jaye


Green Constellation

Na jane kyon koi itna Achha lagta hai, 
Kyon kisi par itna Vishwas hota hai,
Jabki iss Vishwas ko to 
Ek din Tootna hi hota hai.


Set Stone

Kyon hum sochte hain; 
ki kabhi Khushi ka bhi Savera hoga,



Red World 2

Jabki is Chhote se Savere ke baad;
 to Dukhon ka bada sa Andhera hoga


Just add light...

Ye to Waqt,
 jise samajhne ke liye is Andhere me khona hoga.


Red World III
Ab to Dukhon ki aisi Aadat ho chuki hai,

Sweet Pea Refracted

Ki Khushi ke Waqt me bhi Khushi ka Ehsaas nahi hota,
Kitna achha hota, agar main Waqt ko Samajh gaya hota,


The White Bird

Ye to Waqt hai, Jise na koi samajh paya hai, Na kabhi koi samjhega,
Ye to hamesha Dukh deta aaya hai,Aur hamesha yuhi Dukh hi deta rahega

No comments:

Post a Comment